gale lagaaein karein pyar tum ko id ke din
idhar toh aao mire gul-ezaar id ke din
ghazab ka hai aaraaishein quayaamat ki
ayan hai qudrat-e-parwardigaar id ke din
sambhal saki na tabeeat kisi tarah meri
raha na pe mujhe ikhtiyaar id ke din
wo saal bhar se kudoorat bhari jo thi dil mein
wo door ho gai bas ek baar id ke din
laga liya unhein seene se josh-e-ulfat mein
gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar id ke din
kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul
ayan hai josh-e-shabaab-e-bahaar id ke din
siwayyan doodh shakar mewa sab muhayya hai
magar ye sab hai mujhe naagwaar id ke din
mile agar lab-e-sheerin ka tere ik bosa
toh lutf ho mujhe albatta yaar id ke din
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin