falasfi ko bahas ke andar milta nahi
dor ko suljha raha hai aur sira milta nahi
maarifat khaalique ki aalam mein bahut dushwaar hai
shahar-e-tan mein jab ki khud apna pata milta nahi
ghaafilon ke lutf ko kaafi hai duniyaawi khushi
aaquilon ko be--e-uqba mazaa milta nahi
kashti-e-dil ki ilaahi bahar-e-hasti mein ho khair
naakhuda milte hain lekin ba-khuda milta nahi
ghaafilon ko kya sunaaoon daastaan-e-ishq-e-yaar
sunne waale milte hain dard-aashna milta nahi
zindagaani ka mazaa milta tha jin ki bazm mein
un ki quabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahi
sirf zaahir ho gaya sarmaaya-e-zeb-o-safa
kya taajjub hai jo baatin ba-safa milta nahi
pukhta tabaon par hawaadis ka nahi hota asar
kohsaaron mein nishaan-e-naqsh-e-pa milta nahi
shaikh-saahib barahman se laakh bartein dosti
be-bhajan gaae toh mandir se tika milta nahi
jis pe dil aaya hai wo sheerin-ada milta nahi
zindagi hai talkh jeene ka mazaa milta nahi
log kahte hain ki bad-naami se bachna chahiye
kah do be us ke jawaani ka mazaa milta nahi
ahal-e-zaahir jis quadar chaahein karein bahas-o-jidaal
main ye samjha hoon khudi mein toh khuda milta nahi
chal base wo din ki yaaron se bhari thi anjuman
haae afsos aaj soorat-aashna milta nahi
manzil-e-ishaque-o-tawakkul manzil-e-ezaaz hai
shaah sab baste hain yan koi gada milta nahi
baar takleephon ka mujh par baar-e-ehsan se hai sahal
shukr ki ja hai agar haajat-rawa milta nahi
chaandani raatein bahaar apni dikhaati hain toh kya
be tire mujh ko toh lutf ai mah-laqua milta nahi
maani-e-dil ka kare izhar akbar kis tarah
lafz mauzoon bahar-e-kashf-e-muddaa milta nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin