duniyaa mein hoon duniyaa ka talabgaar nahi hoon
bazaar se guzra hoon khareedaar nahi hoon
zinda hoon magar zeest ki lazzat nahi baaqui
har-chand ki hoon hosh mein hushyaar nahi hoon
is khana-e-hasti se guzar jaaoonga be-laus
saaya hoon faquat naqsh-b-deewar nahi hoon
afsurda hoon ibrat se dawa ki nahi haajat
ka mujhe ye zof hai beemaar nahi hoon
wo hoon khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhoon kisi daaman se main wo khaar nahi hoon
yaa rab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se
main us ki inaayat ka talabgaar nahi hoon
go daawa-e-taqwa nahi dargaah-e-khuda mein
but jis se hon khush aisa gunahgaar nahi hoon
afsurdagi o zof ki kuchh had nahi akbar
kaafir ke muquabil mein bhi din-daar nahi hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin