mira jis se bahalta koi aisa na mila
but ke bande mile allaah ka bandaa na mila
bazm-e-yaaran se phiri baad-e-bahaari maayoos
ek sar bhi use aamaada-e-sauda na mila
ke khwaahan toh nazar aae bahut itr-farosh
taalib-e-zamazma-e-bulbul-e-shaida na mila
waah kya raah dikhaai hai hamein murshid ne
kar diya kaabe ko gum aur kaleesa na mila
rang chehre ka toh kolej ne bhi rakkha quaim
rang-e-baatin mein magar baap se beta na mila
sayyad utthe jo gazat le ke toh laakhon laae
shaikh quraaan dikhaate phire paisa na mila
hoshyaaron mein toh ik ik se siwa hain akbar
mujh ko deewaanon mein lekin koi tujh sa na mila
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin