ho kharaab deen pe jo kuchh asar pade
ab kaar-e-aashiqui toh bahar-kaif kar pade
-e-butan ka deen pe jo kuchh asar pade
ab toh nibaahna hai jab ik kaam kar pade
mazhab chhudaaya ishwa-e-duniyaa ne shaikh se
dekhi jo rel oont se aakhir utar pade
betaabiyan naseeb na thin warna ham-nashin
ye kya zaroor tha ki unhin par nazar pade
behtar yahi hai quasd udhar ka karein na wo
aisa na ho ki raah mein dushman ka ghar pade
ham chaahte hain mel wajood-o-adam mein ho
mumkin toh hai jo beech mein un ki kamar pade
daana wahi hai dil jo kare aap ka khayaal
beena wahi nazar hai ki jo aap par pade
honi na chahiye thi mohabbat magar hui
padna na chahiye tha ghazab mein magar pade
shaitaan ki na maan jo raahat-naseeb ho
allaah ko pukaar museebat agar pade
ai shaikh un buton ki ye chaalaakiyan toh dekh
nikle agar haram se toh akbar ke ghar pade
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin