toh maujood hai dil mein dawa ho yaa na ho
bandagi haalat se zaahir hai ho yaa na ho
jhoomti hai shaakh-e-gul khilte hain ghunche dam-b-dam
ba-asar gulshan mein tahreek-e-saba ho yaa na ho
wajd mein laate hain mujh ko bulbulon ke zamazme
aap ke nazdeek ba-maani sada ho yaa na ho
kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein shareek
us ka kuchh maqsood koi muddaa ho yaa na ho
kyoon siwal-sarjan ka aana rokta hai ham-nashin
is mein hai ik baat ऑnar ki shifa ho yaa na ho
maulwi saahib na chhodenge khuda go bakhsh de
gher hi lenge pulis waale saza ho yaa na ho
mimabri se aap par toh waarnish ho jaaegi
quaum ki haalat mein kuchh is se jila ho yaa na ho
motriz kyoon ho agar samjhe tumhein sayyaad dil
aise gesoo hoon toh shubah daam ka ho yaa na ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin