bithaai jaaengi parde mein beebiyan kab tak
bane rahoge tum is mulk mein kab tak
haram-sara ki hifaazat ko tegh hi na rahi
toh kaam dengi ye chilman ki teeliyan kab tak
miyan se beebi hain parda hai un ko farz magar
miyan ka ilm hi uttha toh phir miyan kab tak
tabeeaton ka numoo hai hawa-e-maghrib mein
ye ghairtein ye haraarat ye garmiyan kab tak
awaam baandh lein dohar toh thard waantar mein
sekand-farst ki hon band khidkiyan kab tak
jo munh dikhaai ki rasmon pe hai musir iblees
chhupengi -e-hawa ki betiyan kab tak
janaab hazrat-e-akbar hain haami-e-parda
magar wo kab tak aur un ki rubaaiyan kab tak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin