bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar ham par bhi
guzar chuki hai ye fasl-e- ham par bhi
uroos-e-dahar ko aaya tha pyar ham par bhi
ye beswa thi kisi nisaar ham par bhi
bitha chuka hai zamaana hamein bhi masnad par
hua kiye hain jawaahir nisaar ham par bhi
adoo ko bhi jo banaaya hai tum ne mahram-e-raaz
toh fakhr kya jo hua etibaar ham par bhi
khata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zaban
toh ho hi jaate hain do ek waar ham par bhi
ham aise rind magar ye zamaana hai wo ghazab
ki daal hi diya duniyaa ka baar ham par bhi
hamein bhi aatish-e-ulfat jala chuki akbar
haraam ho gai dozakh ki naar ham par bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin