aah jo se nikaali jaaegi
kya samajhte ho ki khaali jaaegi
is nazaakat par ye shamsheer-e-
aap se kyoonkar sambhaali jaaegi
kya gham-e-duniyaa ka dar mujh rind ko
aur ik botal chadha li jaaegi
shaikh ki daawat mein mai ka kaam kya
ehtiyaatan kuchh manga li jaaegi
yaad-e-abroo mein hai akbar mahaw yoon
kab tiri ye kaj-khayaali jaaegi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin