yoonhi mar mar ke jiyen waqt guzaare jaaein
ham tire haathon se na maare jaaein
ab zamin par koi gautam na mohammad na maseeh
aasmaanon se nae log utaare jaaein
wo jo maujood nahi us ki madad chaahte hain
wo jo sunta hi nahi us ko pukaare jaaein
baap larzan hai ki pahunchi nahi baaraat ab tak
aur ham-joliyan dulhan ko sanwaare jaaein
ham ki naadaan juaari hain sabhi jaante hain
ki baazi ho toh ji jaan se haare jaaein
taj diya tum ne dar-e-yaar bhi ukta ke faraaz
ab kahan dhoondhane gham-khwaar tumhare jaaein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna