us ne sukoot-e- mein bhi apna payaam rakh diya
ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya
aamad-e-dost ki nawed koo-e-wafa mein aam thi
main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
main ne toh us ke paanw mein saara kalaam rakh diya
dekho ye mere khawaab the dekho ye mere zakhm hain
main ne toh sab hisaab-e-jan bar-sar-e-aam rakh diya
ab ke bahaar ne bhi kin aisi sharaartein ki bas
kabk-e-dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
jo bhi mila usi ka dil halqua-b-gosh-e-yaar tha
us ne toh saare shahar ko kar ke ghulaam rakh diya
aur faraaz chaahiyen kitni mohabbatein tujhe
maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna