us ko juda hue bhi zamaana bahut hua
ab kya kahein ye quissa puraana bahut hua
dhalti na thi kisi bhi jatan se -e-firaaque
ai marg-e-naa-gahan tira aana bahut hua
ham khuld se nikal toh gae hain par ai
itne se waaquiye ka fasaana bahut hua
ab ham hain aur saare zamaane ki dushmani
us se zara sa rabt badhaana bahut hua
ab kyoon na zindagi pe mohabbat ko waar dein
is aashiqui mein jaan se jaana bahut hua
ab tak toh dil ka dil se taaaruf na ho saka
maana ki us se milna milaana bahut hua
kya kya na ham kharaab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yaar tera thikaana bahut hua
kahta tha naasehon se mire munh na aaiyo
phir kya tha ek hoo ka bahaana bahut hua
lo phir tire labon pe usi bewfa ka zikr
ahmad-faraaz tujh se kaha na bahut hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna