tujhe hai mashque-e-sitam ka malaal waise hi
hamaari jaan thi jan par wabaal waise hi
chala tha zikr zamaane ki bewfaai ka
so aa gaya hai tumhaara khayaal waise hi
ham aa gae hain tah-e-daam toh apna
wagarna us ne toh phenka tha jaal waise hi
main rokna hi nahi chaahta tha waar us ka
giri nahi mire haathon se dhaal waise hi
zamaana ham se bhala dushmani toh kya rakhta
so kar gaya hai hamein paaemaal waise hi
mujhe bhi shauque na tha daastan sunaane ka
faraaz us ne bhi poochha tha haal waise hi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna