shola tha jal-bujha hoon hawaaein mujhe na do
main kab ka ja chuka hoon sadaaein mujhe na do
jo zahar pi chuka hoon tumhin ne mujhe diya
ab tum toh ki duaaein mujhe na do
ye bhi karam hai salaamat hai jism abhi
ai khusarwaan-e-shahar quabaaein mujhe na do
aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakoon
har baar door ja ke sadaaein mujhe na do
kab mujh ko etiraaf-e-mohabbat na tha faraaz
kab main ne ye kaha hai sazaaein mujhe na do
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna