qurbat bhi nahi se utar bhi nahi jaata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi jaata
aankhein hain ki khaali nahi rahti hain lahoo se
aur zakhm-e-judaai hai ki bhar bhi nahi jaata
wo raahat-e-jan hai magar is dar-badri mein
aisa hai ki ab dhyaan udhar bhi nahi jaata
ham dohri aziyyat ke giraftaar musafir
paanw bhi hain shal shauque-e- bhi nahi jaata
dil ko tiri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahi jaata
paagal hue jaate ho faraaz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jaata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna