phir usi rahguzaar par shaayad
ham kabhi mil sakein magar shaayad
jin ke ham muntazir rahe un ko
mil gae aur ham- shaayad
jaan-pahchaan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shaayad
ajnabiyyat ki dhund chhat jaae
chamak uththe tiri shaayad
zindagi bhar lahoo rulaaegi
yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad
jo bhi bichhde wo kab mile hain faraaz
phir bhi tu intizaar kar shaayad
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna