main toh maqtal mein bhi quismat ka sikandar nikla
quraa-e-faal mire naam ka aksar nikla
tha jinhein zom wo bhi mujhi mein doobe
main ki sahra aata tha samundar nikla
main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya
jab koi phool miri shaakh-e-hunar par nikla
shahar-waalon ki mohabbat ka main quael hoon magar
main ne jis haath ko chooma wahi khanjar nikla
tu yahin haar gaya hai mire buzdil dushman
mujh se tanha ke muquabil tira lashkar nikla
main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha faraaz
ek jhonka tha ki khushboo ke safar par nikla
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna