kathin hai raahguzar thodi door saath chalo
bahut kada hai thodi door saath chalo
tamaam umr kahan koi saath deta hai
ye jaanta hoon magar thodi door saath chalo
nashe mein choor hoon main bhi tumhein bhi hosh nahi
bada mazaa ho agar thodi door saath chalo
ye ek ki mulaaquat bhi ghaneemat hai
kise hai kal ki khabar thodi door saath chalo
abhi toh jaag rahe hain charaagh raahon ke
abhi hai door sahar thodi door saath chalo
tawaaf-e-manzil-e-jaanan hamein bhi karna hai
faraaz tum bhi agar thodi door saath chalo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna