karoon na magar kis tarah bhulaaoon use
ghazal bahaana karoon aur gungunaaoon use
wo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
main zakhm zakhm hoon phir bhi gale lagaaoon use
ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karoon ab kahan se laaoon use
magar wo zood-faraamosh zood-ranj bhi hai
ki rooth jaae agar kuchh dilaaoon use
wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo raahat-e-jan
tumhaari baat pe ai naaseho ganwaaoon use
jo ham-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz
ajab nahi hai agar yaad bhi na aaoon use
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna