is quadar musalsal thin shiddatein ki
aaj pahli baar us se main ne bewfaai ki
warna ab talak yoon tha khwaahishon ki baarish mein
yaa toh toot kar roya yaa ghazal-saraai ki
taj diya tha kal jin ko ham ne teri chaahat mein
aaj un se majbooran taaza aashnaai ki
ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apne se
tu ne kis ghadi zaalim meri ham-nawaai ki
tark kar chuke quasid koo-e-naa-muraadan ko
kaun ab khabar laawe shahar-e-aashnaai ki
tanz o taana o tohmat sab hunar hain naaseh ke
aap se koi poochhe ham ne kya buraai ki
phir mein shor uttha quaidiyon ka aur sayyaad
dekhna uda dega phir khabar rihaai ki
dukh hua jab us dar par kal faraaz ko dekha
laakh aib the us mein khoo na thi gadaai ki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna