hui hai shaam toh aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mire shahar ke musafir tu
miri misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahra hoon
tira khayaal ki shaakh-e- ka taair tu
main jaanta hoon ki duniyaa tujhe badal degi
main maanta hoon ki aisa nahi b-zaahir tu
hansi-khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maquam pe kya sochta hai aakhir tu
faza udaas hai rut muzmahil hai main chup hoon
jo ho sake toh chala aa kisi ki khaatir tu
faraaz tu ne use mushkilon mein daal diya
zamaana saahab-e-zar aur shaaer tu
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna