hawa ke zor se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
ko jo bachaate the un ka ghar bhi gaya
pukaarte rahe mahfooz kashtiyon waale
main doobta hua ke paar utar bhi gaya
ab ehtiyaat ki deewar kya uthaate ho
jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya
main chup raha ki isi mein thi aafiyat jan ki
koi toh meri tarah tha jo daar par bhi gaya
sulagte sochte weeraan mausmon ki tarah
kada tha ahad-e-jawaani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam lab pe raha zehan se utar bhi gaya
phati phati hui aankhon se yoon na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis shakhs ki wo mar bhi gaya
magar falak ko adaawat usi ke ghar se thi
jahan faraaz na tha sail-e-gham udhar bhi gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna