guftugoo achchhi lagi zauque-e- achchha laga
muddaton ke baad koi ham- achchha laga
dil ka dukh jaana toh dil ka masaala hai par hamein
us ka hans dena hamare haal par achchha laga
har tarah ki be-sar-o-saamaaniyon ke baawjood
aaj wo aaya toh mujh ko apna ghar achchha laga
baaghban gulchin ko chaahe jo kahe ham ko toh phool
shaakh se badh kar kaf-e-dildaar par achchha laga
koi maqtal mein na pahuncha kaun zaalim tha jise
tegh-e-quatil se ziyaada apna sar achchha laga
ham bhi quael hain wafa mein ustuwaari ke magar
koi poochhe kaun kis ko umr bhar achchha laga
apni apni chaahtein hain log ab jo bhi kahein
ik pari-paikar ko ik aashufta-sar achchha laga
meer ke maanind aksar zeest karta tha faraaz
tha toh wo deewaana sa shaair magar achchha laga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna