dukh nahi ki tujh se kahein
bhi maana nahi ki tujh se kahein
aaj tak apni bekli ka sabab
khud bhi jaana nahi ki tujh se kahein
be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostaana nahi ki tujh se kahein
ek tu harf-e-aashna tha magar
ab zamaana nahi ki tujh se kahein
quasida ham faqueer logon ka
ik thikaana nahi ki tujh se kahein
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-daana nahi ki tujh se kahein
ab toh apna bhi us gali mein faraaz
aana jaana nahi ki tujh se kahein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna