agarche zor hawaaon ne daal rakkha hai
magar ne lau ko sambhaal rakkha hai
mohabbaton mein toh milna hai yaa ujad jaana
mizaaj-e- mein kab etidaal rakkha hai
hawa mein nashsha hi nashsha faza mein rang hi rang
ye kis ne pairhan apna uchhaal rakkha hai
bhale dinon ka bharosa hi kya rahein na rahein
so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakkha hai
ham aise saada-dilon ko wo dost ho ki khuda
sabhi ne waada-e-farda pe taal rakkha hai
hisaab-e-lutf-e-hareefan kiya hai jab toh khula
ki doston ne ziyaada khayaal rakkha hai
bhari bahaar mein ik shaakh par khila hai gulaab
ki jaise tu ne hatheli pe gaal rakkha hai
faraaz ishq ki duniyaa toh khoob-soorat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-wisaal rakkha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna