ab shauque se ki jan se guzar jaana chahiye
bol ai hawa-e-shahar kidhar jaana chahiye
kab tak isi ko aakhiri kahenge ham
koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye
wo waqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar
gahre samundaron mein utar jaana chahiye
ab raftagan ki baat nahi kaarwan ki hai
jis samt bhi ho gard-e- jaana chahiye
kuchh toh suboot-e-khoon-e-tamannaa kahin mile
hai dil tahi toh aankh ko bhar jaana chahiye
yaa apni khwaahishon ko muqaddas na jaante
yaa khwaahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna