ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkan jaanan
kya tujh ko dilaaein tira paiman jaanan
yoonhi mausam ki ada dekh ke aaya hai
kis quadar jald badal jaate hain insan jaanan
zindagi teri ata thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tira ehsan jaanan
dil ye kahta hai ki shaayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karein dil toh hai naadan jaanan
awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad toh kar
be-piye bhi tira chehra tha gulistan jaanan
aakhir aakhir toh ye aalam hai ki ab hosh nahi
rag-e-meena sulag utthi ki rag-e-jan jaanan
muddaton se yahi aalam na tawaqquo na umeed
dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan
ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan
ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaaran jaanan
sar-b-zaanoo hai koi sar-b-gareban jaanan
har koi apni hi aawaaz se kaamp uthta hai
har koi apne hi saae se hiraasan jaanan
jis ko dekho wahi zanjeer-b-pa lagta hai
shahar ka shahar hua daakhil-e-zindan jaanan
ab tira zikr bhi shaayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unwan jaanan
ham ki roothi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan
hosh aaya toh sabhi khawaab the reza reza
jaise udte hue auraaque-e-pareshan jaanan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna