ab ke ham bichhde toh shaayad kabhi khwaabon mein milein
jis tarah sookhe hue kitaabon mein milein
dhoondh ujde hue logon mein wafa ke moti
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milein
-e-duniyaa bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nashsha badhta hai sharaabein jo sharaabon mein milein
tu khuda hai na mira ishq farishton jaisa
donon insan hain toh kyoon itne hijaabon mein milein
aaj ham daar pe kheenche gae jin baaton par
kya ajab kal wo zamaane ko nisaabon mein milein
ab na wo main na wo tu hai na wo maazi hai faraaz
jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna