aashiqui mein meer jaise khawaab mat dekha karo
baawle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo
jasta jasta padh liya karna mazaameen-e-wafa
par kitaab-e- ka har baab mat dekha karo
is tamaashe mein ulat jaati hain aksar kashtiyan
doobne waalon ko zer-e-aab mat dekha karo
mai-kade mein kya takalluf mai-kashi mein kya
bazm-e-saaqui mein adab aadaab mat dekha karo
ham se darweshon ke ghar aao toh yaaron ki tarah
har jagah khas-khana o barfaab mat dekha karo
maange-taange ki quabaaein der tak rahti nahi
yaar logon ke laqab-alquab mat dekha karo
tishnagi mein lab bhigo lena bhi kaafi hai faraaz
jaam mein sahba hai yaa zahraab mat dekha karo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna