aankh se door na ho se utar jaaega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaaega
itna maanoos na ho khalwat-e- se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega toh dar jaaega
doobte doobte kashti ko uchhaala de doon
main nahi koi toh saahil pe utar jaaega
zindagi teri ata hai toh ye jaane waala
teri bakhshish tiri dahleez pe dhar jaaega
zabt laazim hai magar dukh hai quayaamat ka faraaz
zaalim ab ke bhi na roega toh mar jaaega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ek muddat se muqaddar hai ghareeb alotni
koi pardees mein naa khush ho toh ghar bhi jaae
apni hi aawaaz ko be shak kaan mein rakhna
lekin shahar ki khaamoshi bhi dhyaan mein rakhna
mere jhoot ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi meezaan mein rakhna
kal taareekh yaqueena khud ko dahraaye gi
aaj ke ik ik manzar ko pahchaan mein rakhna
bazm mein yaaron ki shamsheer ke jauhar dekho
razam mein lekin talwaaron ko meeaan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be saahil hai ye bhi dhyaan mein rakhna