na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e- hoon
mera rang roop bigaR gaya mera yaar mujh se bichhaR gaya
jo chaman khizaan mein ujaR gaya main usi ki fasl-e-bahaar hoon
pae faatiha koi aaye kyun koi chaar phool chaRhaaye kyun
koi aa ke shamma jalaaye kyun main vo bekasi ka mazaar hoon
main nahin hoon naghma-e-jaan-fizaa mujhe sun ke koi karega kya
main Zafar bujha hua sa charaagh hoon main mita hua sa pyaar hoon
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein