ujaR gaya hai saara ye tere baad
khamosh ho gaya har ek tere baad
vo raunaqein vo mehfilein sab kho gayin
udaas baiTha hai ye anjuman tere baad
main DhoonDta hoon teri khushboo har taraf
paraaya ho gaya hai ye watan tere baad
kahe Khusro ki bas itni hai aarzu
lipaTta rahe mujh se kafan tere baad
khusro darya prem ka, ulti waa ki dhaar
jo utra so doob gaya, jo dooba so paar
khusro rain suhaag ki jaagi pi ke sang
tan mora man pi ka dono bhaye ek rang
gori sove sej par mukh par daare kes
chal khusro ghar aapne rain bhayi chahun des
zihaal-e-miskeen makun taghaful, duraaye naina banaaye batiyan
ki taab-e-hijran nadaram ai jaan, na leho kaahe lagaaye chhatiyan
apni chhab banaay ke jo main pi ke paas gai
jab chhab dekhi pi ki to apni bhool gai
bahut kathin hai dagar panghat ki
kaise main bhar laaun madhva se matki