ye reet anokhi hai sab jag se nyaari prem ki
jo Doob gaya so paar utra khumaari prem ki
nazar mili to saara bhula baiThe
ik si lagaa gayi chingaari prem ki
na neend aaye na chain aaye na qaraar aaye
ajab bimaari hai ye bimaari prem ki
jise lagi hai vahi jaane is ka mol
koi bataaye kya qeemat hamaari prem ki
kahe Khusro ki main to bik gaya us dar pe
lutaa ke hosh-o-khirad saari prem ki
khusro darya prem ka, ulti waa ki dhaar
jo utra so doob gaya, jo dooba so paar
khusro rain suhaag ki jaagi pi ke sang
tan mora man pi ka dono bhaye ek rang
gori sove sej par mukh par daare kes
chal khusro ghar aapne rain bhayi chahun des
zihaal-e-miskeen makun taghaful, duraaye naina banaaye batiyan
ki taab-e-hijran nadaram ai jaan, na leho kaahe lagaaye chhatiyan
apni chhab banaay ke jo main pi ke paas gai
jab chhab dekhi pi ki to apni bhool gai
bahut kathin hai dagar panghat ki
kaise main bhar laaun madhva se matki