le chala jaan miri rooth ke jaana tera
aise aane se toh behtar tha na aana tera
apne ko bhi bataaoon na thikaana tera
sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera
tu jo ai zulf pareshaan raha karti hai
kis ke ujde hue dil mein hai thikaana tera
aarzoo hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko
shaam-e-ghurbat hai ajab waqt suhaana tera
ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai
kaam aata hai bure waqt mein aana tera
ai dil-e-shefta mein aag lagaane waale
rang laaya hai ye laakhe ka jamaana tera
tu khuda toh nahi ai naaseh-e-naadan mera
kya khata ki jo kaha main ne na maana tera
ranj kya wasl-e-adoo ka jo taalluque hi nahi
mujh ko wallaah hansaata hai rulaana tera
kaaba o dair mein yaa chashm-o-dil-e-aashique mein
inhin do-chaar gharon mein hai thikaana tera
tark-e-aadat se mujhe neend nahi aane ki
kahin neecha na ho ai gor sirhaana tera
main jo kahta hoon uthaae hain bahut ranj-e-firaaque
wo ye kahte hain bada dil hai tawaana tera
bazm-e-dushman se tujhe kaun utha sakta hai
ik quayaamat ka uthaana hai uthaana tera
apni aankhon mein abhi kaund gai bijli si
ham na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera
yoon toh kya aaega tu fart-e-nazaakat se yahan
sakht dushwaar hai dhoke mein bhi aana tera
daagh ko yoon wo mitaate hain ye farmaate hain
tu badal daal hua naam puraana tera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera