Wo jo ham mein tum mein qaraar tha
Tumhein ho ki na yaad ho
Wahi yaani waada nibaah ka
Tumhein ho ki na yaad ho
Koi baat aisi agar hui
Jo tumhaare ji ko buri lagi
To bayaan se pehle hi bhoolna
Tumhein yaad ho ki na yaad ho
Kahe Momin ab to wo dil nahin
Jise tum ne todd diya kabhi
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahin hota
asar us ko zara nahin hota
ranj raahat-fizaa nahin hota
wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ke na yaad ho
wahi yaani waada nibaah ka tumhein yaad ho ke na yaad ho
ulfat ka jab natija deedaar ho gaya
ab husn-o-ishq dono ka aitbaar ho gaya
mar gaye hum jo ghair ki suni
hijr mein iztiraab kis ko tha
roya karenge aap bhi pehron isi tarah
atka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah