Layi hayat aaye qaza le chali chale
Apni khushi na aaye na apni khushi chale
Behtar to hai yahi ke na duniya se lage
Par kya karen jo kaam na be-dillagi chale
Ho umr-e-khizr bhi to ho maaloom waqt-e-marg
Hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale
Duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath
Tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
Naazaan na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho
Daanish teri na kuchh meri daanishwari chale
ab to ghabra ke ye kehte hain ke mar jaayenge
mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaayenge
laai hayaat aaye qaza le chali chale
apni khushi na aaye na apni khushi chale
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai zauq
aulaad se to hai yahi do din char din
kya kya fareb dil ko diye iztiraab mein
shaayad ye jaanta tha ke tu aane waala hai
duniya ne kis ka raah-e-fanaa mein diya hai saath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
ae zauq takalluf mein hai takleef saraasar
aaraam mein hai khidmat-e-aaqaa na karo tum