patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane hi na jaane baagh toh saara jaane hai
lagne na de bas ho toh us ke gauhar-e-gosh ko baale tak
us ko falak chashm-mah-o-khur ki putli ka taara jaane hai
aage us mutkabbir ke ham khuda kiya karte hain
kab maujood khuda ko wo maghroor-e-khud-aara jaane hai
aashique sa toh saada koi aur na hoga duniyaa mein
ji ke ziyan ko ishq mein us ke apna waara jaane hai
chaaraagri beemaari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahi
warna dilbar-e-naadan bhi is dard ka chaara jaane hai
kya hi shikaar-farebi par maghroor hai wo sayyaad bacha
taair udte hawa mein saare apne asaara jaane hai
mehar o wafa o lutf-o-inaayat ek se waaquif in mein nahi
aur toh sab kuchh tanz o kinaaya ramz o ishaara jaane hai
kya kya fitne sar par us ke laata hai maashooque apna
jis be-dil be-taab-o-tawan ko ishq ka maara jaane hai
rakhnon se deewar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa yaani
in suraakhon ke tuk rahne ko sau ka nazaara jaane hai
tishna-e-khoon hai apna kitna meer bhi naadan talkhi-kash
dum-daar aab-e-tegh ko us ke aab-e-gawaara jaane hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai