sitaaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ke imtihan aur bhi hain
tahi se nahi ye fazaaein
yahan saikdon kaarwan aur bhi hain
quanaaat na kar aalam-e-rang-o-boo par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ik nasheman toh kya gham
maquamaat-e-aah-o-fughan aur bhi hain
tu shaahin hai parwaaz hai kaam tera
tire saamne aasman aur bhi hain
isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja
ki tere zamaan o makan aur bhi hain
gae din ki tanha tha main anjuman mein
yahan ab mire raaz-dan aur bhi hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga