ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rahte yahi hota
tere vaade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
ki khushi se mar na jaate agar aitbaar hota
teri naazuki se jaana ki bandha tha ahd boda
kabhi too na tor sakta agar ustuvaar hota
ye kahaan ki dosti hai ki bane hain dost naaseh
koi chaarasaaz hota koi -gusaar hota
kahoon kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki dawa kya hai
ishq ne ghalib nikamma kar diya
warna hum bhi aadmi the kaam ke
ye na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
koi ummeed bar nahi aati
koi surat nazar nahi aati
hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achche
kehte hain ke ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur