-e-naadan tujhe hua kya hai
aakhir is ki dawa kya hai
ham hain mushtaaque aur wo be-zaar
yaa ilaahi ye maajra kya hai
main bhi munh mein rakhta hoon
kaash poochho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahi koi maujood
phir ye hangaama ai khuda kya hai
ye pari-chehra log kaise hain
ghamza o ishwa o ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambarin kyoon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza o gul kahan se aae hain
abr kya cheez hai hawa kya hai
ham ko un se wafa ki hai ummeed
jo nahi jaante wafa kya hai
han bhala kar tira bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai
jaan tum par nisaar karta hoon
main nahi jaanta dua kya hai
main ne maana ki kuchh nahi ghaalib
muft haath aae toh bura kya hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai