Verses where love of the beloved becomes love of the divine.
Dard's mysticism is the quiet heart of this list.
tohmatein chand apne zimme dhar chale
jis liye aaye the so hum kar chale
arz-o-sama kahaan teri vus’at ko paa sake
mera hi dil hai wo ke jahaan tu samaa sake
kya kahoon kuchh kaha nahin jaata
ab to bin tere raha nahin jaata
yaad karna har ghadi us yaar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka
Mir brings the ache back to the human plane.
patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai
dikhaayi diye yun ke bekhud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale